Like Us On Facebook

Wednesday 14 August 2013

Mai yaadon mein

Mai yaadon mein rahoon aur fir na paun use,
 magar ye ho nahin sakta ki use bhul jaun mein. 
wo mere sheron ki tarah shamil ho ruh mein meri, 
mai naummidi ke lamhein mein gungunaun use. 
ye magrur meri chahat kabhi to dekhlaye, 
bhulna chahe wo mujhe aur yaad aaun use. 
tamam raat mai aankh me kat dun lekin, 
magar subah tak apne khwab mein paun use. 
zamana sauk sunta raha aksar “raaj” ko, 
magar maine socha kash haal-e-dil sunaun use.

Kitabo ke panne

Kitabo ke panne palat kar sochta hu, 
Yun zindgi palat jae to kya baat hoti. 
Tamanna jo puri ho khwabo me, 
Haqiqat ban jaye to kya baat hoti. 
Kuch log matlab ke liye dhundte hai mujhe, 
Bin matlab koi aye to kya baat hoti. 
Katl karke to sab le jaynge dil mera, 
Koi pyar se jeet kr le jaye to kya baat hoti. 
Jo sharifo ki sharafat me baat na ho, 
1 sharabi keh jaye to kya baat hoti. 
Zinda rehne tak to khushi dunga sabko, 
Kisiko meri maut pe khushi mil jaye to kya baat hoti..

Agar pyar jo karo is zamany main tum…

Agar pyar jo karo is zamany main tum… 
Behtar hai chalti hawao se karo… 
Is havus ki duniya main pyar nahi hai…
 Nazar jo ata hai insaa wo insan nahi hai…
 AGar acha lagy koi to keh dena us se… 
Is duniya main pyar nahi hai… 
Mughe hona barbad nahi hai… 
Meri baat tum mano payar na karna… 
Agar pyar karo to hawao se karna… 
Jana payas bughany ko pyar nahi kehty… 
Do jismo ke mail ko pyar nahi kehty… 
Yun pyar ke lafz ko barbad na karna… 
Is duniya main tum pyar na karna… 
AGar pyar karo to hawao se karna… 
Na jane wali bahar se karna…